Naseeb…
मेरा मेहबूब ही मेरा रकीब बन गया .!
लूट कर मुझे खुद गरीब बन गया .!!कभी सामने हो रूबरू बात करता जो .!
आज यादों की महज तस्वीर बन गया .!!खत लिखे उस को कई मुहब्बत भरे .!
ज़माने की नज़र में तक़रीर बन गया .!!क्यों की मुहब्बत अगर न निभानी थी .!
गुजरे ख्वाबों की इक तारिख बन गया .!!जिसे चाहा जान से बढ़ कर ‘सागर ‘.!
किसी और माथे का नसीब बन गया .!!
Mera mehboob hi mera rakeeb bn gya.!
Loot kar mujhe khud gareeb bn gya.!!
Kabhi samne ho rubaru baat karta jo.!
Aaj yaadon ki mahj tasweer bn gya.!!
Khat likhe us ko kai muhabbat bhare.!
Zamane ki nazar mein takreer bn gya.!!
Kyun ki muhabbat agar na nibhani thi.!
Guzare khwabon ki ab tareekh bn gya.!!
Jise chaha jaan se badh kar ‘Sagar’.!
Kisi aur maathey ka naseeb bn gya.!!
Posted on February 16, 2019, in Ghazals Zone. Bookmark the permalink. 5 Comments.
Wo tha hi bewafa “sagar”
Jo tere ishq ki gehrai na samaj saka
Wo tha hi nahi tere kabil
Jo kisi aur ka naseeb bn gya
LikeLiked by 1 person
Behd khub….
Shukeiya ji…..
Ilzaam na lgao yaaro meri ulfat par,
Kuch to rahi hongi uski bhi majbooriyan.!
Yun hi koyi bewafa nahin hota mano,
Raah-e-ishq mein hoti kai dushwariyan.!!
LikeLiked by 1 person
NICE!!!!!!!!!!!
Wo ishq hi kia jis main dushwariyan na ho
Wo wafa hi kia jis main raat ka andhera na ho
Kuch to sachi waja rahi ho gi
Warna sache ishq main bewafai ki jaga na ho
LikeLiked by 1 person
Kya baat hai jee
Thanks…
LikeLike
Kisi aur….. ❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️
LikeLike