Jeene Ki Aarzoo.!!
आदमी जीने के लिए क्या-क्या नहीं करता,
सुबहा-सुबहा घूमता रात जी भर पीता.!
फिर भी मौत है की आख़िर में आ ही जाती,
कहीं किसी गली-मुहल्ले कोई रोज़ मरता.!!
जनता सब कुछ है फिर जीने की आरज़ू है,
नित नयी-नयी कोशिशें जीने की करता.!
चाहे जितने जतन कर लो वक़्त मुक़्क़र्र है,
वक़्त से पहले ना कोई बाद संभलता.!!
Aadmi Jine Ke Liye Kya-Kya Nahin Karta,
Subaha-Subaha Ghumta Raat JiBhar Pita.!
Phir Bhi Maut Hai Aakhir Mein Aa Hi Jati,
Kahin Kisi Gali-Muhalle Koyi Roz Marta.!!
Janta Sab Kuch Phir Jeene Ki Aarzoo Hai,
Nit Nayi-Nayi Koshishein Jeene Ki Karta.!
Chahe Jitne Jatan Karlo Waqt Muqqrr Hai,
Waqt Se Pahale Na Koyi Baad Smbhalta.!!
Posted on April 22, 2016, in Shayari Khumar -e- Ishq. Bookmark the permalink. 4 Comments.
bahut sahi !
LikeLiked by 1 person
sach he mere bhai.. par agar dekha jaye to aadmi kamata he sirf social status and life ko maintain karne ke liye, aur ise dekho uski jarurate badhti hi jati hi jati he kum nahi hoti wapas… Jita he hi kaha aadmi?
LikeLiked by 1 person
Very very nice
LikeLiked by 1 person
Thanks for Appreciation.I’m Glad U Like It Sneha ji.
LikeLike