“लम्हें”


 

1.Dil dhadkne ka bhana dhundta hai,
Kisi pe marne ka tarana dhundta hai,
Reshmi zulfo ki khta hai ya kuch aur,
Tuze poojne ka bhana dhundta hai,
2.Kese rang badlti duniya jane anjane,
Kadam kadam dokhe deti insani jane,
Koyi na smza koyi na janega hota hai kyo,
Dolat deti tn ka sukh mann ka hai rishto me,
Paisa zarurt hai sabkuch nhi koyi mane na mane,
3.Kaise kahe ki chot khaye huye hain,
Kisi ki bewafai ka pyaar paye huye hain,
Jinke liye sir par shehra bandhne ki sochte thy,
Wo kisi gair ki sez sajaye huye hain,
4.Maine iq phool se muhabbt ki thi mali se puche bina,
Kiske gale lagega kiske kadmo pdega ye soche bina,
5.Nashe di band botle kadi te khul jaya karo,
Aashiqan nu ji bharke pilaya karo,
6.Wo khushnaseeb hai jisko tu pyaar kare,
Jise chahe beshumar uspar eatbaar kare,
Hum hain ab kinara ab bhula dena hume
Dua Khuda se yahi tumhe kamyaab kare,
7.Pahli nazar ka pyaar hai,
Sir chad kar bolega,
Wo milne na aaye to,
Tanki pe chad kar dolega,
Izhar karne ki ada hai,
Iqrar karwa ke hi utrega,
8.Iq adda se dil lete hain hussan wale,
Qatal bhi ho aur qatil na pakda jayein,
9.Dil mera lene se pahle sharte pyaar ki rakhi,
Jaan deni na hogi tere jahan se jane ke bad,
10.Socha tha ek din eysa bhi hoga,
Mere hatho me tera hath hoga,
Falaq ke sitare rashaq karenge,
Jab Mehtaab tu mere sath hoga,
11.Kisi ek ke liye jhan chodna hai qudrat ke khilaf wada khilafi,
Mana kahna asaan hai par is jiwan pe bhoutero ka haq hai,
12.Zindgi bharka ho sath aao kasam lele,
Markar bhi na ho judda ye dua kar le,
Khuda milta nhin dhunde sabko yhaan,
Rubaru wahi wafase jo kre pak ibaadt,
13.Jo pyaar tumne muzko diya tha wo pyaar lota rha hun,
Teri majboori samz teri duniya se door mai ja rha hun,
14.Main janta hu tu gair hai magar phir bhi,
Jane kyu is dil ko tera itnzar aaj bhi hai,
Mere khwabo ki khoyi huai tasweer hai,
Meri nazar me tera deedaar aaj bhi hai,
15.Kaise ukhade ukhadese mere sarkar nazar aate hain,
Gusse me to wo aur bhi gul-o-gulzar nazar aate hain,
16.Markar Gar Zindgi Dobara Milti,
Maut Ka Kise Phir Khoff Hota,
Muhabbat Karne Wale Bewafa Hote,
Markar Bhi Muhabbat Kana Yaqin Hota
17.Choti si Zindgi hai,
Jaise taise guzar jayegi,
Sath hote to acha tha,
Ab to bus uhi katt jayegi,
18.Mere din raat mahaqe tere khayalon me sanam,
Abto aja milne ko dil betab hua jata hai sanam,
19.Dil ki gali se bach guzarana,
Aashiqo ke mele me sambhlana,
Bahut mushqil se aati hai jawani,
Dil dene lene se pahle soch lena,
Ho gyi muhabbt to phir na kahna,
Sajan“bin kese jina kese marna,
20.Kash koyi aakar btaye unka dil-e-haal,
Sunkar slamati unki duniya se ja paye,
21.Teri raaho me khade hain har kayda kanoon todkar,
Qayamat ati hai to aaye jayenfe ab tera deedar karke,
22.Ye muraado bhari raat hai,
Aur phir mehboob sath hai,
Us par mousam bhi suhaana,
Dar staye bhool naho jaye,
Bach bach kar chalna hoga,
Beshaq Khuda bhi sath hai,
23.Tum milo na milo dilki lagi kam na hogi,
Jinda rahe na rahe chaht kam na hogi,
24.Ab to aaja deed kraja khade hain raho me gunahgar ki tarha,
Nabaz ruj rhi hai sans tham rhi hai jan jane ko ha chehra dikhaja,
25.Dil ki gali se guzre zanaza mout na tb koyi gum,
Kon jane jate jate mahboob se mulaqat ho jaye,

About Dilkash Shayari

All Copyrights Are Reserved.(Under Copyright Act) Please Do Not Copy Without My Permission.

Posted on June 14, 2013, in लम्हें. Bookmark the permalink. Leave a comment.

Comments / आपके विचार ही हमारे लिखने का पैमाना हैं.....ज़रूर दीजिये...

Please log in using one of these methods to post your comment:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s

%d bloggers like this: