“लम्हें”


Image

1.Dil apki bewafai se is qadar paresha hai,
Jee chahta hai Jhaan chod jaoon ab main,
2.Kaise kah dein ke jaante nahin,
Tumhari aawaaz pechante nahin,
Pher nigahein inqaar to kardenge,
Iqrar-e-nazar chipana jante nahin,
3.Kisi ko chahna aur bhool jana,
Kahan ki hai wafa,
Kisi ko maut ke karib chod jana,
Kya yahi hai wafa,
4.Ek pal ki muhabbat bus de do hume,
Do jhaanki muhabbat kon mangta hai,
Garzprast hai zamana humne maana,
Zamane bharki khushi kon mangta hai,
5.Ey sanam tuze is hayat-e-safar me bhool paoon ye mumqin nahin,
Jaanta hoon janam-o-janam tak bhi na bhool paoonga main tuze,
6.Main jaanta hoon tuze bhoolna mere bus me nahin,
Kya tum meri yaadon ko apne dil se mita paaoge,
Sookhe gulshan ko khilaana aasaan ho sakta hai,
Kya khile gulshan ko tum mahaqne se rok paaoge,
7.Tere dar par muhabbat maangne aaye hain,
Khali na bhezna Khuda kasam jaan dedenge ,
8.Kisi shayar ki ghazal si hai tu,
Aur ang ang tera haseen share,
Mahfil me jahan ho zikar tera,
Dil par qayamat chaa jati hai,
10.Tuzse muhabbat meri zindgi ki koyi kumi to nahin,
Ye aur baat hai zamane ko ulfat humari zami nahin,
Log batein bnate rahe humari muhabbat ki sanam,
Kaise smzhate unhein ke zamaneme ek humi nahin,
11.Yun baat be-baat ruthne ki meri addat to na thin,
Teri baar baar manane ki ada ne ruthna sikhaaya Muze,
12.Mere din raat guzarate tere khayalo me,
Abto tuze apna banane ko jee chahta hai,
13.Subha sawere dil ko teri yaad sataye,
Suraj ki kirno si musqati roz chali aye,
Ab to jiwan ki yahi kahani,
“Sagar”ki bhi pyas badaye,
14.Tere deed ka bhukha hai mera dil,
Koyi”Sagar”mita sakta pyaas meri,
Zustzu me teri katte din raat mere,
Ek bar hi sahi puchta wo haal mera,
15.Bahome le kisika pyaar apne muqadar par yun na itrao,
Khuda bhi hai sharmsaar dushman-e-yaar sharm khaao,
Yun kisi pak wafa ki mazboorika fayda nahin uthate,
Imsaniyat na sahi kam se kam Khuda kato khof khaao,
16.Tera chehra benoor kyun nazar aata hai,
Mere mehboob door kyun nazar aata hai,
Kya wajaha muzse ruth ne ki ye to bta,
Beshaq aankho me pyaar nazar aata hai,
“Sagar”tere bin smz jiye kaise jhaanme,
Tere siwa kuch aur nhin nazar aata hai,
17.Wo kahte hain hum se ki pina mana hai,
Saf saf kyu nahin kahte ki jina mana hai,
Zara soche khud hi mera wo jaan-e-jiggar,
Kya ab unko piye bina bhoolna mumqin hai,
18.Chaha Hai Tuze Jaan-e-Jiggar Jankar,
Tum Kinara Kiye Hume Nadaan Jankar,
Hum Chiraga-e-Muhabbat Tofan Me Jlaye Rahe,
Tum”Sagar”Se Kinara Kiye Mazdhar Me Jankar,
19.Ek nasha hai teri aankho me,
Bin piye hi ye madhosh kare,
Ab maikhano ki kya zarurt hai,
Aankhein bottal ka kaam kare,
20.Duniya se chipa rakha tha jise,
Wo charcha sab ki zubaan pe ho gaya,
Mera mehboob chatt jo par kya aaya,
Muhabbat ka uske sir ilzaam ho gaya,
21.Na jane kyu main tuze itna pyaar karun,
Bhoolna chaahun jitna utna yaad karun,
22.Aaj shaam tuze tere ghar ki chatt par kya dekh liya,
Khuda kasam tabse jeena marna ek samaan ho gaya,
23.Is terah tume toda mera dil,
Ke jeeye to rota hi rah jaye,
Aur mare to pani na mange,
24.Kitni pyaari hain sanam ki madmast ankhe,
Madhosh karti hain jhaanko kajrari aankhe,
In me dube jo paye dono jhaan ki khushiya,
Kash humdum banaati hume sajan ki aankhe,
25.Bechain muhabbat dilkash adaao ki kasam,
Humne tuze hi chaha hai tere sir ki kasam,

About Dilkash Shayari

All Copyrights Are Reserved.(Under Copyright Act) Please Do Not Copy Without My Permission.

Posted on June 11, 2013, in लम्हें. Bookmark the permalink. 1 Comment.

  1. So very lovely that picture it says everything ! 🙂

    Like

Comments / आपके विचार ही हमारे लिखने का पैमाना हैं.....ज़रूर दीजिये...

Please log in using one of these methods to post your comment:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s

%d bloggers like this: