Janta Hoon Dilbhar Tu Kabhi’Sagar’Ki Na Ho Sakegi…!


 

Waaqif Hain Tuz Se Aur Ek Teri Wafa Se Hum…!
Phir Bhi Tuze Pyaar Karne Ko Jee Chahata Hai…!!

     Tere Hotho Ki Tabassum Ki Deewani Hai Duniya…!
In PankhudiyoN Ko Chumne Ko Jee Chahata Hai…!!

Khush-Kismat Hai Barish Jisne Bhigo Chua Tuze…!
Badan Se Tapkte Pani Ko Pine Ko Jee Chahata Hai…!!

     Yun To Tune Kayi Sitam Kiye Ab Tak Is Garib Par…!
Jane Kyun Kayi Aur Sitam Sahane Ko Jee Chahata Hai…!!

Zamana Bhi Hua Hardum Pak Wafa Ka Dushman…!
Dulhan Apni Bna Naye Muqam Likhne Ko Jee Chahata Hai…!!

     Janta Hoon Dilbhar Tu Kabhi’Sagar’Ki Na Ho Sakegi…!
Phir Bhi Tere Khawab Palko Me Pirone Ko Jee Chahata Hai…!!

Tu Kisi Aur Ki Ho Jaaye Is Dil Ko Kabhi Manjoor Nahin…!
IsSe Pehale Waqt Nikle Tere Dar Jaan Dene Ko Jee Chahata Hai…!!

About Dilkash Shayari

All Copyrights Are Reserved.(Under Copyright Act) Please Do Not Copy Without My Permission.

Posted on May 29, 2013, in Ghazals Zone, Jee Chahata Hai. Bookmark the permalink. 2 Comments.

  1. SHIKHA PUNDIR........

    Mohabbat ki kitaabon ka abhi masuam nahi aaya,
    yahan khiltey gulabon ka abhi mausam nahi aaya..

    isi verangi se hum ne kuch samaan karne hain,
    safar main ham rakabon ka abi mausam nahi aaya…

    andehri raat ban kar jam gaya hai apni ankhon main.
    chamakte aaftaabon ka abhi mausam nahi aaya…

    mujhe barbaad jazbon ki haqeeqat ko parkhna hai,
    mere dil main sarabon ka abhi mausam nahi aaya…

    abhi to jisam apna urti mojon k hawale hai,
    kaheen haseen khawabon ka abhi mausam nahi aaya..

    yahan paicheda baatien kar k hi asaniyan rehti hain,
    yahan sidhe jawabon ka abhi mausam nahi aaya…

    mile fursat to tujhko sab kuch saaf kar lena magar,
    tere pichhle hisabon ka abhi mausam nahi aaya…

    Like

  2. SHIKHA PUNDIR........

    Na Apni Taqdeer Se Naraz Hoon,
    Na Us Khuda Se Naraaz Hoon,
    Khich Di Jinse Khud Mene Apne Hathonki Lakeerein
    Aaj Us KalaM Ki Siyahi Se Naaraz Hoon….

    Na Uski Bewafai Se Naraz Hoon
    Na Uske Diye Hue Dard Se Naraz Hoon
    Jo Dard Khud Maine Apne DaaMan Se Laga Liye
    Aaj Wo Daaman Ke Daagdaar Hone Se Naraz Hoon….

    Chal To Diya Tu Ek Hi Pal Me Mujhse Keh Kar Alvida
    Na Socha Meri Zindagi Ka AnjaaM Kya Hoga Tere Bina
    Na Tere Jaane Se Na Apne AnjaaM Se Naraz Hoon
    Bas Apni Shikayat Na Karne Ki Fitrat Se Naraz Hoon…

    Mohabbat Meri Kabhi Hogi Nahi Puri Ye Pata Tha
    Khwab Dekhe The Use Pane Ki Uske Kisi Gair Ke Hojane Ke Baad Bhi
    Na Uske Adhurepan Se Na Un Hasin Khwabon Se Naraz Hoon
    Bas Jo Dil Ne Kiya Saanso Se SaMjhauta Usi SaMjhaute Se Naraz Hoon…

    Mere Kaafile Ko Manzil Na Milna Mukarrar Tha
    Tera Mujhse Berukhi Karna Tha Barkarar
    Na Teri Manzilon Se Na Hi Berukhiyon Se Naraz Hoon
    Jo Banayi Raastonke Khone Ke Bawajood Us Manzil Se Naraz Hoon….

    Yaadein Teri Har LaMha Ashqon Ka Toofan Liye Aati Hai
    Teri Aahat Ki Chah Se Hi Rooh Meri Tadap Si Jaati Hai
    Na Un Yaadon Se Na Un LaMho Se Na Un Ashkon Se Naraz Hoon
    Jinhone SaMayi Teri Har Dhadkan UnMe Un Dhadkano Se Naraz Hoon….

    Khuda Ne Diya Har Mod Par Mujhe Teri Bewafai Ka IlM
    Basaye Baithe The Phir Bhi Khwabonka Hasin TajMahal
    Na Us Khuda Se Na Teri Bewafai Se Na Hi Un Khwabonse Naraz Hoon
    Apna SaMjha Tha Tujhe Aur Sirf Tujhe Hi Jahan Me,
    Aur Tune Hi Zaar Zaar Kiya Meri Rooh Ko
    Isliye Main Aaj Khud Apne Aapse Hi Naraz Hoon…

    Like

Comments / आपके विचार ही हमारे लिखने का पैमाना हैं.....ज़रूर दीजिये...

Please log in using one of these methods to post your comment:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s

%d bloggers like this: