Wo Bhi Kya Dastan Thi
College ki Canteen,
Students ka Selab,
Kya khuub sama tha,
Bhid me Iq Chaand khila tha,
Wo bhi kya Dastan thi,
Jab Tizi baar wo mili thi,,,,,,
Chaye ki leti chusqiyan,
Hotho pe thi bijliyan,
Aankho me wahi Kashish,
Sapano ki thi Tapish,
Khuda ki Iss Murat se,
Qayamat hi Qayamat thi,
Wo Door sahi leqin,
Mann ke bhaut Nazdik thi,
Dil ne kaha phir Dil se,
Ja Karib ab Mehboob ke,
Wo bhi kya Dastan thi,
Jab Tizi baar wo mili thi,,,,,,
Do Kadum Aage badate hi,
Manzil Samne thi,
Ankho se Ankhe mili,
Jine ki Mohlat mili,
Khushboo Gul-e-Badan ki,
Sanso me Apani Samayi,
Zuban kuch kahati Pahale hi
Uski Nazar Bhaut kuch kaha gayi,
Laga“Sagar”Apani nikal padi,
Muhabbat Apani ab Chal Padi,
Wo bhi kya Dastan thi,
Jab Tizi baar wo mili thi,,,,,,
Posted on February 14, 2013, in Nagama-e-Dil Shayari, Unse Mulaqat.. Bookmark the permalink. Leave a comment.
Leave a comment
Comments 0