" Lamhey "
* Itni haseen is duniya mey tou kayu udas hai /
Kya tere liye thrdsi jagha na thi is jhaan mey //
*Faqra naa kar apni aabad muhabat par /
Kal janaaza na uth jay judaa honey par //
*Hamney manga tha ghum-e-yaar ey Khuda tuzse /
Teri mahafil mey kiyaa tha sazdaa ek baar firse //
*Luc-chup ke naa dekho ke shaq mey pard jaye /
Is qadar muhabat kar bethey ke mar hi naa paye //
*Nazro sey kah gaye wo bhut sy fasaa-ney /
Isharo hi isharo mey dey gaye payar ke nazrane //
*Muddat sey dekhne ki aakhri tamanaa thi /
Aakhri pal shayed hai ab tou samney aajao //
*Raato ko tassawor tera hamey trdpa jaata hai /
Ab tou har shay mey chara tera nazar aata hai //
*Thandhi hawao key sath-sath aasu sukh ja-yege /
Dhalti shamo key sang sang jindgi bhi guzar jaygi //
*Zeel si ghahri neeli ankho ko dekh kar ,
Dubnry ko jee chahta hai /
Dil ki ghara-aio mey tuze basa kar .
Poojney ko jee chahta hai //
*Kahtey hai log tuzko maykhaana -e-muhaat /
Hum payaase hi gaye teare maykhaaney sy anam //
*Karley aaj tou bhi meri muhaat ka iqraar sanam /
Khrdey hai hum teri raha mey gunahagar ki terha //
*Meri gali sey guzare wo hotho p chanchal musqan liye /
Shayed sanam ko bhi ahsaas tha idhar dil khoney ka //
*Phir teri yaad muze trdpa kar chali gayi /
Tanhaayi ka ahsaas kara kar chali gayi //
*Tere bad in ankho mey asuo ki kami na hogi /
Johogijindgi mey kamiwo kbhi pureena hogi //
Posted on August 18, 2010, in Ghazals Zone. Bookmark the permalink. Leave a comment.
Leave a comment
Comments 0